Om jaya jagdish harey swami jaya jagdish harey
Bhakta janon ke sankat, daas jano ke sankat,
kshana mein door karey - om jaya jagdish harey
jo dhyaavey phala paavey dukha vinasey mann ka
sukha sampati ghara aavey, kashta mitey tana ka – om jaya jagdish harey
maat pitaa tum merey sharana gahoon kiski
tum bin aur na dooja aash karoon jiski - om jaya jagdish harey
tuma purana paramatma tuma antaryaami
par-brahma parameshvara tuma sabke swami - om jaya jagdish harey
tuma karuna ke saagar tuma paalan kartaa
mai moorakh khal-kaami
mai sevaka tum swami kripaa karo bharataa - om jaya jagdish harey
tum ho ek agochara sabkey praanpati
kisa vidhi milu dayamaya tuma ko main kumati - om jaya jagdish harey
deena bandhu dukha harataa thaakur tum merey swaami rakshaka tum mere
apne haath uthaao, apney charan lagaao, dwaar para main terey - om jaya jagdish harey
vishaya vikaar mitaao paap haro deva
shraddhaa bhakti badhaao santan ki seva - om jaya jagdish harey
tan man sab tera, sab kuchh hai tera,
tera tujhko arpan, kyaa laagey mera - om jaya jagdish harey