karta nahi kyon doosra kuch baat cheet
dekhta hoon main jise vo chup teri mehafil mein hai
sarafaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai
waqt aane par bata denge tujhe o aasmaan
ham abhi se kya bataayen kya hamaare dil mein hai
khainch kar laayi hai qatl hone ki ummeed
aashiqon ka aaj jamaghat koochaa-e-qaatil mein hai