Movie
ROOP KI RANI CHORON KA RAJA (1993)
Singers
AMIT KUMAR

kaun ho tum kaun ho tum kaun kaun kaun kaun kaun kaun
romeo naam mera chori hai kaam mera
kya kya kya
main dil ko churaau main pyaar churaau
main neende churaauun main chain churaau
main chori chori pahale nain milaau
jo nain mile to main nain churaau
romeo naam mera ...

koi na jaane mera fasaana
log ye samajhe main koi deewana
jo raaton mein ghoome jo bin piye jhoome
jo taare gine jo kali ko choome
ye koi na jaane mujh sa deewana
palat de duniya badal de zamaana
romeo naam mera ...

khataron se khela hoon main
khataron mein pala hoon main
jaan hatheli pe liye ghoom raha hoon main
jo thamta nahi hai jo rukta nahi hai
vo aawaara hoon main vo banjaara hoon main
kabhi main yahaan hoon kabhi main vahaan hoon
kabhi zameen hoon kabhi aasamaan hoon
romeo naam mera ...

Theme by Danetsoft and Danang Probo Sayekti inspired by Maksimer