Tarz-e-Fikro Nazar Nahai'n Aaya
Dousti Ka Hunar Nahai'n Aaya
Lou't Kar Aagaye Parenday Sub
Ek Musafir Magar Nahai'n Aaya
Hum Nay Har Zaveye Say Dekha Hay
Ko'ee Tum Sa Nazar Nahai'n Aaya
Lou'g Kehtey Hai'n Choudhvee'n Shab Hay
Chaand Keou'n Bam Par Nahai'n Aaya
Chash-e-Nagis Hay Aaj Tak Haira'n
Keya Kou'ee dedahawr Nahia'n Aaya
Rou'z Aati Hay Us ki Yaad Raees
Jo Kabhi Lou't Kar Nahai'n Aaya
Ek Lamha-eWisaal Tha Wapas Na Aa Saka
Woh Waqt Ki Misaal Tha Wapas Na Aa Saka
Har Ek Ko Apna Haal Sunan-e-Say Faida
Mera Jo Hum Kheyal Tha Wapas Na Aa Saka
Mujh Ko Meray Wajood Say JO Kar Geya Jud'da
Kesa Wo Bakamal Tha Wapas Na Aa Saka
Ketn-e-Kheyal Roop Haqeeqat Ka pa Gaye
Jo Markaz-e-Kheyal Tha Wapas Na Aa Saka
Har Dam Raees Wo Tou Nazar Kay Hay Saa'mnay
Tera Tou Yeh Kheyal Tha Wapas Na Aa Saka
Her Ek Shakhas Kaha'n Hum Kheyal Hota Hay
Bichhar gaya Hou'n tou Usko Malal Hota Hay
Mia'n us Jahan-e-Muhabat Ka rehnay Wala Hou'n
Jaha'n kesi Ko bholana Mahaal Hota Hay
Hamaray Qadmou'n Mai'n Sa'aye Panah Latai'n Hai'n
Jab Aaftab Ka Waqt-e-Zawal Hota Hay
Mia'n us Hesa'ar-e-An'na Ko bhi Tour Aa'ya Hou'n
Jahan Say Akasr Loutna Mahaal Hota Hay
Ussay bhoula kay bhi yadoun kay silselay na gaye
Dil-e-Tababh teray us'say raabtay na gaye
Mai'n chaand aour sitaroun kay geet gata raha
Meray hi ghar say andherou'n kay qaflay na gaye
Kitaab-e-Zeest kay unwa'n badal gaye laykin
Nisab-e-Ja'n say kabhi uskay tazkaray na gaye
Raees Jur'rat-e-Izhar mera Wirsa hay
qaseday mujh say kisi shah kay lekhay na gaye
Theme by Danetsoft and Danang Probo Sayekti inspired by Maksimer